Zindagi Me Aao Tum

Phool saare murjha gaye the, par aaj phir woh dikhe khilte hue
Chaand sitaare saare benoor the, par aaj phir woh tumse roshan hue
Bas tumko dekha aur dekhte hi rahi, dil ki dhadkane bhi ab hai badhne lagi
Meri palkein joh ashqon me simat gayi thi, aaj phir woh khwab dekhne lagi
Ab bas uljhe raho na sawalo me tum,woh har jazbaat aaj tum bayaan kar bhi do
Armaano ko aaj phingalne do, in haseen lamhon ko aaj tum ek pal rukne do
Ye sab nazare hame phir mile na mile, aakar tum mera ab hath thaam lo
Ham tumse kuch kahe na kahe, tum ye sab baatein aaj bin kahe samajh hi lo
Ye hi fariyaad bhi hai, ye hi ibadat bhi hai, khyalon se ab hakeekat me aao tum
Takraar bhi hai aur ikraar bhi,is bewajah si zindagi me wajah ban kar aao ab tum

Leave a comment